avatar

Rishi

Namaste , Aap kaisi hain?

Namaste 🙏, Main achhi hoon. Aap kaise hain?

avatar

Sarisha

avatar

Rishi

Main bhi achhaa hoon. Aapkaa naam kya hai?

Meraa naam Sarisha hai. Aapkaa naam kya hai?

avatar

Sarisha

avatar

Rishi

Meraa naam Rishi hai. Romila, aap kitane saal ki hain?

Main chh saal ki hoon. aur aap kitane saal ke hain?

avatar

Romila

avatar

Rishi

Main tees saal ka hoon. Kya aap student hain?

Ji Haan, main student hoon.

avatar

Romila

avatar

Rishi

Theek hai. Aap kaunsi class me hain?

main is saal dusari class me jaaungi. Kya aap Hindi adhyaapak hain?

avatar

Romila

avatar

Rishi

Ji Haan, main Hindi adhyaapak hoon. Aap kahaan se hain?

Main America se hoon. aur aap kahaan se hain?

avatar

Romila

avatar

Rishi

Main Jaipur se hoon. Aapko kya pasand hai?

Mujhe khelnaa bahot pasand hai?

avatar

Romila

avatar

Rishi

Aapko kya khelnaa bahot pasand hai?

Mujhe board game, kudnaa aur tarinaa bahot pasand hai?

avatar

Romila

avatar

Rishi

Achhaa, aapko aur kya pasand hai?

Mujhe pizza khaanaa bahot pasand hai?

avatar

Romila

avatar

Rishi

Aapkaa pasndidaa pizza kaunsaa hai?

Meraa pasndidaa pizza Margherita hai. Aapkaa pasndidaa kahaanaa kya hai?

avatar

Romila

avatar

Rishi

Mujhe masala dosa khaanaa bahot pasand hai. Kya aapko music sunnaa pasand hai?

Haan , mujhe music sunnaa pasand bahot pasand hai. Meraa pasndidaa gaanaa Lemon tree hai.

avatar

Romila

avatar

Rishi

Are Waah, kya aapke bhai-bahan hain?

Nahi, mere koi bhai bahan nahi hain. Main ikloti hoon .Kya aapke bhai bahan hain?

avatar

Romila

avatar

Rishi

Haan, mere teen bhai hain lekin meri koi bahan nahi hai. Aapka ghar kaisaa hai?

Meraa ghar badaa aur safed hai.

avatar

Romila

avatar

Rishi

Achhaa, aapke ghar me kitane kamare hain

Mere ghar me 7 kamare hain. Aur meraa kamaraa sabse badaa hai aur ye safed hai.

avatar

Romila

avatar

Rishi

Theek hai. Aaapke kamare me kya-kya cheezen hain?

Mere kamare me bahot cheezen hain. Mere kamare me ek bad, table,kursi aur divaar par kuch poster hain

avatar

Romila

avatar

Rishi

Achaa,, aapke paas khilone hain?

Haan,mere paas khilone bhi hai aur mere ek chhoti saaikal bhi hai.

avatar

Romila

avatar

Rishi

Achhaa, aur aapke kitane dost hain?

Mere bahot dost hain.

avatar

Romila

avatar

Rishi

Aapke dost ke naam kya hain?

Mere dost ke naam Aayushi, Megha aur Jenny hain. Kya aapke bhi bahot dost hain?

avatar

Romila

avatar

Rishi

Haan, mere bhi bahot dost hain. Mere dost ke naam Vikas, Tonny aur Sonu hain. Aaapki sabse achhi dost kaun hain?

Meri sabse achhi dost Jenny hai.

avatar

Romila

avatar

Rishi

Achaa aur aap america me kahaan rahti hain?

Main New jerssy me rahti hoon aur aap?

avatar

Romila

avatar

Rishi

Main jaipur me rahtaa hoon. Aapke papa kya kaam karte hain?

Mere papa scientist hain aur aapke papa kya kaam karte hain?

avatar

Romila

avatar

Rishi

Mere papa doctor hain. Romila, aap subah kitane baje uthti hain?

Main subah 7 baje uthi hoon, bursh karti hoon aur phir naashtaa khaatii hoon. Aap subah kitane baje uthte hain?

avatar

Romila

avatar

Rishi

Main subah 8 baje uthtaa hoon. uske baad chaay peetaa hoon aur phir Hindi class kartaa hoon.

Achhaa, aap hafte me kitane din kaam karte hain?

avatar

Romila

avatar

Rishi

Main hafte me paanch din kaam kartaa hoon. aur aap hafte me kitane din skool jaati hain?.

Main paanch din skool jaati hoon. Aur aap weekend par kya karte hain?

avatar

Romila

avatar

Rishi

Main weekend par park jaataa hoon, badminton kheltaa hoon, aur dost se miltaa hoon. Aap weekend par kya karti hain?.

Main weekend par park me ball khelti hoon.

avatar

Romila

avatar

Rishi

Achhaa kya abhi skool hai?.

Nahi abhi skool nahi hai. Garmi ki chhutiyaan hain.

avatar

Romila

avatar

Rishi

Achhaa, aap garmi ki chhutiyon me kya karengi?

Main garmi ki chhutiyon me New York jaaungi, ghoomungi aur Hindi seekhungi.

avatar

Romila

avatar

Rishi

Are waah, aap to bahot achhi Hindi bolti hai. .

Dhanyavaad. Main online seekhti hoon. main aur Hindi seekhungi aur bolungi.

avatar

Romila

avatar

Rishi

Haan. Apni garmi ki chhutiyaan enjoy karo.

Theek hai. Aap se baat karke bahot mazaa ayaa. Aap bahot achhe hain. Phir milenge.

avatar

Romila